Email setup Hindi : jab hum hosting kharidte hai to hume hamare domain name ke saath email account banane kee suvidha bhi milti hai cPanel me jakar hum hamara email ID bana sakte hai jiske liye email wale menu me email account open me jana hoga.
Is form ko bharkar aap New Account bana sakte hai aage dee gai image me dekhiye admin@websiteinhindi.com naam ka email banaya hai.
ab Configure mail client ko click karke aage kee process karna hogi jise hum email use kar payenge click karte hee hamare samne yah window aayegi.
यह window हमे हमारा email हमारे computer/mobile में setup करने का option देती है आप ऊपर की side देख सकते है windows live mail, Outlook, MacOS, iPhone/iPad आदि में mail setup करने की link दे रखी है or निचे Manual Setting में दिए username और अन्य setting को use करके आप Manual आपका mail setup कर सकते है आइये देखते हैं कैसे|
Yah window hume hamara email hamare computer/mobile me setup karne ka option deti hai aap upar kee side dekh sakte hai windows live mail, outlook, MacOS, iPhone/iPad aadi mail setup karne kee link de rakhi hai or niche manual setting me diye username or any setting ko use karke aap manual aapka mail setup kar sakte hai.
Manual Outlook setup
Email setup Hindi
Sabse Pahle aapne computer me outlook open kariye (aap Run me jakar outlook type karke enter press kar sakte hai jisse bhi outlook open ho jayega)
outlook open hone ke baad file menu me add account ka option dikhai dega is tarah
Add account par click karne par aapko yah window dikhai degi
Isme tisra option Manually Configure server settings par click karke next par click karna hai.
Is Window me pahla option select karke next kare or jo window dikhai de usme Manual Setting dwara dee gai jankari is tarah bhare.
Ab test account setting par click karen agar koi error aati hai to hume yah window dikhai degi.
Ab aap is window ko close kar dijiye or more setting me jakar advance me jaiye aapko yah window dikhai degi.
Yahan aap dekh rahe hai incoming server (POP3) ke samne 110 or outgoing server (SMTP) ke samne 25 hai jabki hume jo setting mili hai uske hisaab se vaha 995 or 465 hona chahiye.
is setting ko karne ke baad aapka outlook configure ho jayega ab bhi naa ho to aap Non SSL Setting ko Use karke aapka mail configure kar sakte hai dhyan rahe yah setting jyada seccure nahi hoti hai ise hamara hosting bhi recommend nahi karta or na hee main karunga.
Aअ इस पोस्ट को हिन्दी फॉण्ट में भी पड़े | Read also in English