Programming jane bina website kaise banaye : vaise to hum hamari website wordpress framework ko use karke banana sikhege WordPress ek aisa tool hai jiski madad se hum bina koi programming sikhe ek dynamic website bana sakte hai yaha par hume hamara hosting provider bhi hume ek tool available kara raha hai jiske madhyam se hum WordPress jane bina bhi website bana sakte hai. iss tool ke madhyam se hum ek simple 2-3 page kee website bana sakte hai jiske liye hum available template ko select karna hai or edit karna hai bas jiske liye kuch bhi sikhne kee jarurat nahi hai WordPress bhi nahi.
Domain Kharidne ke baad hamari website hume is tarah dikhai degi
cPanel me login karne ke baad software menu me tisre no par hume site builder ka option dikhai dega jiski madad se hum hamari website bana sakenge.
Site Builder par click karne par domain select karne ka option aayega.
- Select a Domain
DOMAIN | DOCUMENT ROOT |
---|---|
sumitclass.in | /home/sumitcl1/public_html |
chuki hum abhi ek hee domain use kar rahe hai to hume domain sumitclass.in select karna hai domain select karne ke baad ek new window open hogi jisme sabse pahle humari website ke liye hume template select karna hoga.
Inme se aap jo bhi template select karenge aap us templete ko edit karke apne anusar bana sakenge koi bhi template select karne se vo editing mode me khul jayega.
humne wind energy naam ka yah template select kiya hai.
Is template ke upar aap dekh sakte hai hume bahut se tool diye gaye hai jinki madad se is website ko jaisa chahe vaisa bana sakte hai.
or yahi par publish ka button bhi hai jisse sirf ek click karke aap aapki websitte ko publish kar sakte hai.
Aअ यह पोस्ट हिन्दी में पड़े | Read also in English