Computer ki Important shortcut key : Aaj mai aapko batauga ki computer chalate vakte kin kin shortcut key ka use karke hum aasani se evm jaldi hamara kary pura kar sakte hai. Vaise to har kary computer me bina mouse (shortcut key) ke dwara kiya ja sakta hai. jisk liye sirf shortcut key ko yaad kar lena hee kaafi nahi hota hai aapko unhe use mai lana anivary hota hai jisse aap bina mouse ki madad se kary karne ki aadat bana paye.
aaiye jante hai kuch khas shortcut keys ke baare mai.
Aaapne dekha hoga ki hamare computer mai Ctrl, Alt, Shift, Windows key aadi hoti hai aaiye is image ke madhyam se samajhne ki koshish karte hai.
Computer ki Important shortcut key , in Shortcut keys ka prayog karke hum bahut se kaam kar sakte hai.
Computer ki Important shortcut key
Window+D : Windows key ke saath me D dabane se saari window ek saath minimize kar sakte hai.
- Window+R : Windows kye ke saath R press karne se Run command khul jaati hai.
- Shift+Del : Shift ke saath delete key dabakar koi bhi file ko permanently delete kiya ja sakta hai.
- Ctrl+Shift+space : ye 3 key ek saath dabakar task manager ko directly khola ja sakta hai.
- Alt+Tab : in dono key ki madad se ek window se dusri window par jaya ja sakta hai.
- Shift+Tab : jis tarah Tab dabakar aage bada jata hai usi tarah Shift+tab dabakar piche ki or jaa sakte hai.
- Ctrl+alt+delete : ye tin command ek saath dabakar bahut se kary kiye ja sakte hai jaise Restart, Logoff, shutdown, sleep, task manager aadi is command ko computer hang hone ki sthiti me chalaya jata hai.
- Alt+Space : is command ke dwara Minimize, maximize, restore, close jaise kary kiye ja sakte hai.
- Shift + → : Is command se contect select kiya ja sakta hai.
- Window + L : is command ko press karke hum Hamare computer ko lock kar sakte hai.
- Window + E : My computer(explorer) open karne ke liye
Function Key
- F1 : F1 generally Help ke liye use kiya jata hai.
- F2 : F2 ka use kisi bhi file ko Rename karne ke liye kiya jata hai.
- F3 : F3 se search command open ho jati hai
- F4 : Alt+F4 se window close ho jati hai.
- F5 : Refresh karne ke liye F5 ka use kare.
- F12 : save as ke kaam aati hai.
MS office & any software me use ki jane wali Commands
- Ctrl + A : Select All
- Ctrl + B : Bold
- Ctrl + C: Copy
- Ctrl + D: Font
- Ctrl + E: Center
- Ctrl + F: Find
- Ctrl + G: Go to
- Ctrl + I : italic
- Ctrl + J: Justified
- Ctrl + K: hyperlink
- Ctrl + L: Left alignment
- Ctrl + M: Move
- Ctrl + N: New file
- Ctrl + O: Open file
- Ctrl + P: Print
- Ctrl + Q: Close
- Ctrl + R: Reload / Right alignment
- Ctrl + S: Save
- Ctrl + U : Underline
- Ctrl + V: Pest
- Ctrl + X: Cut
- Ctrl + Y : Redo
- Ctrl + Z : Undo
- Prt Sc Sys Rq: is command ke dwara hamare computer ki screen short li jati hai or use Paint mai pest kar sakte hai . Computer ki Important shortcut key
Computer kaise sikhe
Run Command ke under ki Kuch commands
- CALC : Run option me jakar calc type karke enter marne se calculator open ho jata hai
- MSPAINT : Microsoft ka Paint open karne ke liye Run me MSPAINT likhe
- NOTEPAD : Notepad open karne ke liye notepad type kare.
- WINWORD : Is command se MS word open ho jayega
- EXCEL : Microsoft Excel open karne ke liye
- MSACCESS : Access open karne ke liye ise use kare.
- C:, D:, E: Kisi Bhi drive ke samne colon laga kar enter kare drive open ho jayegi.