English bolna kaise sikhe me aaj hum ye janenge ki English kaise boli jati hai or kaha or kis tarah sikhna sahi hoga english aaj mai aapko is post me mai aapko yahi batane ki koshish karunga. Aap New menu English Class par click jarur karen.
New* English Class ↑
English bolna kaise sikhe
Aaj ke daur me aapne dekha hoga ki english bina kuch bhi aasan nahi lagta hai aaj hum agar kahi job karna chahe ya koi business start karna chahe to english sabse pahle kaam aati hai aaj har website, email, document aadi english me hee hote hai, hum me hunar hote huve bhi hum kuch nahi kar paate uska main kaaran yahi hai ki hum engilsh nahi bol ya samajh paate hai. aaj mai apko bataunga ki kaise english bolna sikhe to dhyan se yah post jarur pade.
Engilsh kyo sikhna jaruri hai.
yah baat vaise batane ki jarurat nahi samajhta mai ki english kyo sikhna jaruri hai kintu ek baat hai bina english ke aap kisi bhi field me aage badenge to aapko bahut kathinaiya aa saki hai fir vo chahe koi choti – badi job ho ya koi business har jagah english utni hee important hai jitna hindi janna.to chaliye jante hai ki kaise sikhe sahi sahi english bolna.English bolna kaise sikhe
English ke dar ko hataye.
Aksar dekha gaya ha ki aade se jyada log to english ka naam sunkar hee dar jaate hai kintu aisa nahi hai english bahut hee essy language hai jise aasani se sikha ja sakta hai or Hindi se to bahut aasan hai english, tabhi to adhiktar log english he bolte hai. to mai bas yahi kahna chahunga ki apne man se english ka dar mitaye or bolne ki koshish kare aap jarur english bol payenge.
English bolne ke liye aapko sirf koi book padna ya english ke rool follow karna hee kafi nahi hota hai iske saath hee aapko english bolna sikhne ke liye english bolna hee padegi aap english bolne ke liye aapne dosto ristedaaro se english me baat karne ki koshish kiya kare yadi aapko english nahi aati to bhi aap english bolne ki koshish kare ho sakta hai ki shuruaat mai aap thoda bahut galat ya bahut galat bole kintu agar aap regular english spoken ki koshish karenge to ek din aap bilkul farratedar angreji bol payenge.
aap TV to deknte honge usme aap koi bhi english ka programm laga le ho sake to aap cartoon dekhe or samajhne ki koshish kare ki vah kya bol raha hai or use man me dohraye. english me cartoon chanel par dikhai jane wali film chote baccho ke liye hoti hai jisme kafi simple english use kee jati hai agar aap cartoon film dekhenge to aap bahut jaldi english samajhne lagenge.
English class join kare
agar aap ek student hai to aapko koi english class jarur join karna chahiye English class join karne k mukhy fayda yah hota hai ki aapko vaha ek english bolne ka mahol milta hai aap ghar par rahkar kitni bhi koshish kar le kintu jab tak aap dusro se ya group me english nahi bolenge aapme se vo hesitation nahi hategi isliye koi class join kare or vaha english bolne ki koshis karen. agar aap koi working person to aap apne sahkarmiyon ka group banaye or aaps me baat karne ke liye english use kare jisse aap ek aachi english bol sakenge.
Internet par English News/ Story / Blog pade
Internet aisi jagah haia jaha par aapko sabkuch mil sakta hai to kyo na internet ya social networking websites par time barbaad karne ki apeksha Useful Artical, Blog, News. ya story pade. ho sakta ha shuruaat me aapko paresani aaye padne me kintu ghabraye nahi Google translate ki madad se aap English ko Hindi me convert kar sakte hai jo line ya paragraph samajh nahi aaye use google translate ki madad se Hindi me convert kare or fir pade isse aapki English par pakad majbut hoti chali jayegi.
Uprokt Articel “English bolna kaise sikhe” me maine kuch tarike bataye hai jinse aap apni english aachi kar sakte hai kintu yadi aap bilkul ya bahut kam English jaante hai to aapko pahle English ke basic clear karna honge mai apni Agli post me aapko batauga ki kaise 30 Days me English bolna sikhe . is post se related koi query ho to aap comment ke madhyam se puch sakte hai.