Hello Friends humne pichli post me MS Excel ke baare me jaana tha ki MS excel kya hai or kya kya kaam hum MS excel me kar sakte hain or jaisa ki main pichli post me bataya tha ki MS Excel ek bahut bada software hai jise ek post me samjhana mushkil kaam hai isliye main samay samay par excel ke baare me post karta rahunga isliye aaj mai yah post “Excel me formula kaise lagate hain” likh raha hu Is post me Main aapko bataunga ki hum kis tarah se Excel me formulas Laga sakte hain.
Simple formula tricks in Excel
Yahan par humne 5 chijo ki list banai hai jiska total lena hai hume, Jaha hume total chahte hai vaha par =SUM(C2:C6) likh dete hain. C2 humne is liye likha hai kyoki hum jahan se total karna chahte hai vah C2 hai yaani 600 (C2) me likha hai or jaha tak Total lena hai vah 2000 (C6) me likha hai. ek or tarika hia Total karne ka aap jitna total karna chahte hai vah select karke is option “∑ AutoSum” ko click kar dijiye niche total ho jayega.
Excel formula : Addition , Multiplying, subtraction, division
Addition : Addition ke liye (=B2+C2) use karenge .
Multiplying : Multiplying ke liye (=B2*C2) use karenge.
Subtraction: Subtraction ke liye (=B2-C2)
Division : Division ke liye (=B2/C2)
is tarah se yah calculatin hum excel me kar sakte hai yah to ek maatr example hee tha aap kisi bhi tarah se or kisi row, cell me formula laga sakte ho. aaiye ek example or dekhte hai.
Multiple formula in excel 2013
Yahan aap dekh sakte hai humne ek bill banaya hai jisme hume kuch formulas lagane hai jsse total Amount, Discount amount, Net pay sab nikal aaye. aaye jante hai konse formule lagana hai hume.
Uprokt bill me hum dekh sakte hia 5 Pin hai or ek ki kimat 25 hai to Total me hume formula lagana hoga (=B5*C5) isi tarah Book, Tee bags, face creem, body lotion or allout ke saamne bhi isi tarah formula lagega.
Grand total me vahi formula lagega jo maine sabse pahle aapko bataya tha (=SUM(C5:C11)) or Discount me (=C12*10%) yah formula lagega. jisse total amount ka 10% nikal jayega.
Amount to be pay me hume Grand total me se 10% Discount ghatana hai to yaha vahi Subtraction wala formula lagega. (=C12-C14) Jisse total Amount to be paid nikal aayega .
Ab jab bhi item ya quantity me koi bhi change hoga to hume formula change karne ki jarurat nahi hogi yaha vahi calculation dikhai dega jo hum quantity and item me bharenge. or yadi hum sab zero kar de to total amount, discount amount or net pay bhi zero ho jayega.
To aapne dekha ki kaise hum excel me formulas laga sakte hai isi tarah excel ke kai feature hai jo mai aapko agli post me bataunga.
Aapko yah post “Excel me formula kaise lagate hain” kaise lagi hume jarur bataye or pasand aaye to apne friends me share kare.